Asrat Shaitani taqat se hone walay nuqsan ka nam hai jes ki mokammal tafsil ap ko iss post me hasil ho ghe . Tamam afraad Mard, Aurat, Bachay, Jin aur Shayateen apne andar makhsoos Asraat rakhtay hain .
Yeh Asrat un ki soch aur aadaat ko tarteeb dete hain. jo afraad buray Asrat kay haamil hotay hain un ki soch aur adaat buri hoti hain aur jo log achay Asrat ke haamil hotay hain un ki soch aur aadaat achi hoti hain .
Esi terhan baaz afraad Bemaar Asraat kay haamil bhi hotay hain .
yeh sabhi afraad jin mein Jinnat bhi shaamil hain apne ird gird kay mahol aur afraad par apna musalsal asar daal rahay hotay hain .
Achay afraad doosron par apne Achay Asrat muratab karte hain aur buray afraad nah chahtay huye bhe apne buray Asrat doosron par muratab karte rehtay hain .
Es ki misaal aisay fard ki hai jis kay nah chahtay hue bhi koi uski Nazr-e-bad ka shikaar ho jata hai yani agar aap k ghar mein koi asa fard mojood hai jo kay buray Asraat ka haamil hai to us kay Asraat se ghar k dosray afraad kisi nah kisi andaaz se zaroor mutasir hon ge .
Es ki aik aur misaal aisay bhi di ja sakti hai k agar aap ne apna bacha kisi buri society mein chor diya to us bachay par usi buri society k Bad Asraat zaroor muratab ho gay .
Esi terhan agar aap k ghar Jinnat, Shayateen, Jadu se mutasirah fard, Jadu ki Wajah se Bemaar fard, Asaib zada ya Nazr-e-bad ka shikaar fard mojood hain tu un k Asraat se ghar k tamam afraad zaroor mutasir hon ge aur jo fard un se mutasir nahi ho raha to matlab us fard k Sadqat o Khairaat , Dua ya Tasbeehaat us ki Allah kay Hukum se hifazat kar rahen hain .
Esi terhan baaz auqaat Jadu aap ka peecha chor deta hai lekin jadu jo aap par apne Asraat chor jata hai woh aasani se aap ka peecha nahi
chortay .
Asraat buray bhi hotay hain aur achay bhi, yeh aahista aahista doosron par asar andaaz ho kar un mein apni Buri Soch, Bemari, Buri Aadat ,
Nakami, Depression aur Khuaf ko daakhil kar dete hain. Lehaza buray Asrat ka shikaar fard jald hi Bemari, Nakami, Gurbat, Tangdasti aur
zindagi ki har pareshani se do char ho jata hai
Asraat se koi bhi insaan mukammal tor par kabhi bhi nahi bach sakta. Kyun kay Asraat humary har taraf phailay huye hain aur shayad esi wajah se hamein Islam ne makhsoos duayen subah aur shaam parhnay ki Talqeen farmai hai. Taakay hum har qisam k shar aur Bad Asraat se mehfooz rahen .
Asrat Ki Alamat
Asraat Ki Jo Alamaat Sab Se Ahem Hain Un Mein
Ghar Se Khauf Aana
Ghar Se Badboo Aana
Bhayanak Khawab Deekhae Dena
Zehen Mein Be Hooda Khayalat Paida Hona
Bachon Ka Ziddi Aur Gustaakh Ho Jana
Ghar Mein Bila Waja Ki Baton Par Jhagra Hona
Bila Waja Rishta Toot Jana
Ghar Se Bemari Ka Nah Jana
Be Cheeni Bay Sukooni Taari Rehna
Asraat Ki Wajah Se Ghar Mein Paisa Anay K Bawajood Tangdasti Rehti Hai .
Asraat Aap Ki Mohabbat Walay Rishton Ko Nafrat Mein Badal Dete Hain.
Asraat Se Mutasir Afraad Ki Har Koi Mukhalfat Karta Hai .
Nazreen Asraat Fard Par Apne Bad Asraat Kayi Andaaz Se Zahir Karte Hain Jin Mein Chand Hum Ne Aap Ke Liye Paish Kar Diye Hain. Agar In Alamat Mein Se 3 Ya Se Se Ziyada Alamaat Aap K Ghar Mein Mojood Hain To Aap Aur Aap Ka Ghar Bad Asraat Se Mutasir Hai.
Yeh Asraat Kisi Aik Taraf Se Bhi Ho Satke Hain Aur Bohat Se Bad Asraat Ka Majmoa Bhi Ho Sakte Hain. Lehaza Aap Ko Es Kay Sahi Ilaaj Aur Hifazat Ki Taraf Tawajah Deeni Chahiye .
Asrat Ka Ilaj
Agar Koi Bhai Ya Behan Asraat Ka Shikaar Ho Chuke Hain Aur Woh Un Se Shifa Aur Hifazat Chahtay Hain To Es K Liye Aap Taweez Fatima Salamullah Alaiha Ko Apne Paas Bhi Rakhen Aur Apne Ghar Mein Bhi Zaroor Rakhen .
Taweez Fatima Salamullah Alaiha Ki Barket Se Aap Ko Har Qisam Kay Bad Asraat Se Isi Waqt Shifa Haasil Ho Jaye Gi Aur Aap Tamam Zindagi Har Qisam Ke Bad Asraat Se Mehfooz Bhi Rahen Gay.