Tasbih Fatima Salamullah Alaiha ap ki har mushil ki asani k liye kafi hai .lughat mein tasbeeh ke maienay parhna hai aur tasbeeh ka mafhuum Allah ki ibadat hai. hadees mubarikah aur buzurgon ki tehreer kitabon mein hamein bohat si تسبیحات ka zikar milta hai aur un sabhi Tasbihat se afzal Tasbih Fatima ko mana jata hai aur Tasbih Fatima ke hawalay se Hazrat Imam Baqar farmatay hain k khuda ki Hamd o Sana ke liye tasbeeh fatima se barh kar koi ibadat nahi aur agar is se barh kar koi ibadat hoti to Nabi Pak صلی اللہ علیہ وسلم Hazrat Fatima Salamullah Alaiha ko zaroor Ata farmatay .
rwayt hai ke aik martaba Fatima Salamullah Alaiha ne Nabi Pak صلی اللہ علیہ وسلم se darkhwast ki k mujhe tanha ghar ka kaam bohat karna parta hai dosray logon ki terhan mujhe bhi aik Khadima inayat farma den Nabi Pak صلی اللہ علیہ وسلم ne inhen yeh kalmaat Talqeen farmaiye
yani
Subhan Allah , Alhamdullah Allah Akbar
aur farmaya ke jab sonay ke liye late jao o to yeh kalmaat parh liya karo yeh kisi bhi Khadima se hazaar gina behtar hai .